Shree Valram Chalisa Lyrics PDF in English | श्री वलराम चालीसा | Odhavram Chalisa
🙏ૐ🙏
|| श्री वलराम चालीसा ||
Shree Valram Chalisa Lyrics in English
|| DOHA ||
─── ⋆⋅☆⋅⋆ ───
Vighna vinashak vandau vardayak ganadaya |
Prasanna ho he sharada I guruvar lagu paay || 1 ||
Valram var dijiye darshan dijo aap |
Odhavram antar vaso jo gunala nit gaay || 2 ||
─── ⋆⋅☆⋅⋆ ───
|| CHOPAI ||
─── ⋆⋅☆⋅⋆ ───
Valram vandau vardai,
Tumhari krupa manuj tan payi || 1 ||
Safal janam karu gunn gai,
Aisa var do he vardai || 2 ||
Valram jai vijay tumhari,
Naam tumhara hai mangalkaari || 3 ||
Jo jan let hai sharan tumhari,
Dukh mit hi sukh pawat bhari || 4 ||
Maat gomati ke tum jaya,
Peeta gangji sab mann bhaya || 5 ||
Dharama sthapane ko tum aya,
Adharama nasavan he gururaya || 6 ||
Bhaktajano ke dukh ko harta,
Sab jeeva ke tum ho bharta || 7 ||
Tum kaaran ho jag ke karta,
Satya kahahu prabhu aap akarta || 8 ||
Valram var do he daata,
Janam safal karu vardaata || 9 ||
Tumhare dwaar pe jo jan aata,
Sukh paakar mann hi harshaata || 10 ||
Shwet vastra urr kafani dhaari,
Manahar murat mangalkaari || 11 ||
Bhuj pralamab nijajan bhayhaari,
Mukh mandal jani madan murarri || 12 ||
Karkamal laxmi vardaayak,
Tum sam nahi kahu aur sahayak || 13 ||
Na hi mein bhakt na hi mein laayak,
Tada pi varan karo vardaayak || 14 ||
Valram jay jay ho tumhari,
Yogeshwar tum saarang dhaari || 15 ||
Chakra sudarshan panchjan dhaari,
Mitra murari ko gaandiv dhaari || 16 ||
Surmuni danuj manuj yash gaate,
Ashta siddhi nav nidhi ko paate || 17 ||
Aatho prahar tumhare gunn gaate,
Bhakti mukti sab sampati paate || 18 ||
Vandhay tirath dham suhaye,
Kutch ki kirat koti badhaye || 19 ||
Bharat ke gunn syranjan gaye,
Valram tum yaha pagu dhaye || 20 ||
Haridwaar haruhar kar vaasa,
Kutchi aashram aap niwaasa || 21 ||
Valramji ghat manohar,
Gangadhar aroo sapt sarovar || 22 ||
Murachban bhoomi mann bhavan,
Patitam ko karti ai paawan || 23 ||
Murat manohar madan lubhawan,
Darshan karte log lugain || 24 ||
Paache kshetrapal ati veera,
Mitat janma patra grah pida || 25 ||
Jaha pad padyo dhanya bhai dharani,
Padraj kankan kautik tarani || 26 ||
Narayansar tirth manohar,
Valramji divya sarovar || 27 ||
Jivhan hit bhaye manuj swarupa,
Tadapi chinmay brahma swarupa || 28 ||
Tum bramha ho vishnu mahesha,
Tum sacharachar ho jagdisha || 29 ||
Kalyug ke dukh dosh nasawan,
Karan aaye patitan ko paawan || 30 ||
Valram madhumangal nama,
Leela te pragate sukh dhama || 31 ||
Dhamdhara poot aap pradaata,
Sankat mochan mukti ko daata || 32 ||
Daihik daivik bhautik taapa,
Mital mul tav cahran patapa || 33 ||
Odhavram ke shishya kahaye,
Sab shishyan ke mann ku bhaye || 34 ||
Gau bramhan santanha mann bhaye,
Sadhak sidh suranah gunn gaaye || 35 ||
Pret pisach bhoot bhagaye,
Ragrog dambh dosh nasaye || 36 ||
Sadguru charan sharan jeenha leenha,
Sahaj sulbh mukti kar leena || 37 ||
Yah chalisa rachyo rachayo,
Mai urr antar jaakar paayo || 38 ||
Shradha sahit jo sune sunaye,
Anayas bhav jal tar jaye || 39 ||
Valram prabhu aap gusai,
Hari ! das urr raho sadai || 40 ||
─── ⋆⋅☆⋅⋆ ───
|| DOHA ||
─── ⋆⋅☆⋅⋆ ───
Valram gomati sut he |
Mati gati more aap,
Vaani anya na uchare
Jape tumhara jaap
─── ⋆⋅☆⋅⋆ ───
GURUVAR VALRAM KI JAY………
GURUVAR ODHAVRAM KI JAI………
BOLO BHAI SAB SANTAN KI JAI,
KASHTA BHANJAN DEVKI JAI,
GAU MATA KI JAI.
─── ⋆⋅☆⋅⋆ ───
|| JAI ODHAVARAM ||